For Skin Fairness


Lemon (leemon) jild ki tazgi k liye bohat kar-aamad hai. Rozana iss ko chehre pe lagane se skin fresh nazar aati hai aur rangant nikharti hai yani rang saaf hota hai.

Raang saaf karne ya skin fairness ka aik aur totka yeh hai ke aik aalloo lain aur uss ka juice aik peyalay main nikal lain. Rozana istemal se rang saaf hoga ga aur nikhar aye ga.

Lemon juice (lemon ka russ) aur shehed (hone) barabar miqdar main lain aur apne chehre aur jild par laga lain. Isss se bhi skin fairness aati hai.

Daar cheeni (cinnamon) aur shehed ka mehlool (solution) bhi fair skin k liye aik azmood quick totka hai.

Kheere aur leemon ka rass (cucumber and lemon juice) saaf rangat k liye aik aur easy aur quick totka hai.

Hamari aglee skin fairness tip yeh hai ke cucumber juice (kheere ka russ) aur shahed ko mix kar k apni skin per lagaen. Iss se skin fairness aye gee.

Oily skin ko saaf rangat dene k liye anday ki safeeday haftay main 2 martaba apne chehre per lagaen.

Tamatar (tomato) aur lemon ka russ mix kar ke chere per lagaen. Yeh bhi skin fairness k liye azmoda totka hai.

Papeeta (papaya), shehed, dhoodh ka mixture tayyar kar lain aur apne skin per lagaen. Iss se bhi skin fair hotee hai. Yeh tip khas taur per oil skin walon k liye aham hai.

Badam (almond) aur dhoodh ka solution rangat nikharta hai aur skin fairness lata hai.

2 chamach besan, 1 chamach doodh aur 6 qatray lemon juice le kar solution bana lain aur iss bhi quick and easy skin fairness tip ke tour pe azmain.

Multani mitti aur arq e gulab ka solution bhi skin fairness k liye istemal keya jata hai.

Popular Posts